Kanz e Aza

Tamam alam me aaj matam

A noha. Lyrics in Roman Urdu.

Tamam alam me aaj matam


Tamaam aalam may aaj matam, hussain bekas ka ho raha hai


alam gharon may sajay huway hai, dilon may farsh-e-aza bicha hai


tamaam aalam may aaj matam, hussain bekas ka ho raha hai


1. Siyah kapde siyah chadar, ghamon ki gardo ghubaar sar par

hai sogwaro'n kay ashk jaari, ke sani-e-zehra berida hai


tamaam aalam ...


2. Na chashme purnam ho kyon sawali, juloos hai zuljanah khaali ke mera duldul sawar-e-maula, zamin-e-karbal may so raha hai


tamaam aalam ...


3. Alam me mashq-e-sakina dekho, to momino bas yeh keh ke rolo

chacha bhatiji may kya hai nisbat, wafa-e-abbas kya wafa hai


tamaam aalam ...


4. Hussain peeri may dil sambhale, ke dil se uljhi sina nikaale

jawaan beta lahu may dooba, zameen pe aedi ragad raha hai


tamaam aalam ...


5. Na maar barchi dil-e-nabi par, abhi huway hai jawaan akbar

ye qatl jisko tu kar raha hai, yehi to ham shakl-e-mustafa hai


tamaam aalam ...


6. Madinay walo khamosh rehna, ghareeb zainab say kuch na kehna

basa huwa ghar jo le gayi thi, wo karbala may ujad gaya hai


tamaam aalam ...


7. Azaa-e-shabbir hai ibadat, janab-e-zainab ki hai amaanat

ye nauha tere qalam se mehshar, janab-e-zahra ki ek ataa hai


tamaam aalam ...