tamam shab rahi qaimon ki pasban zainab
hazaar ranj o musibat mein natawan zainab
ali ki beti ne chupne diya na khoone hussain
sabab o himmat o jurrat ka hai bayan zainab
tamam shab rahi…
wo daagh dil pe thay jeena muhaal tha lekin
thi ek sahara aseeron ke darmiyan zainab
tamam shab rahi…
kabhi to koofa kabhi shaam aur kabhi darbar
phiri aseeri mein dar dar kahan kahan zainab
tamam shab rahi…
bhatije bhanje bete na koi bhai raha
hai ek ranj o musibat ki daastan zainab
tamam shab rahi…
guzar ke kufe se balon se moo chupaye huye
chali hai shaam mein dene ko imtehan zainab
tamam shab rahi…
nabi ka azm ali ka jalaal azme hussain
thi shaam o kufe mein kis kis ki tarjuma zainab
tamam shab rahi…
urooj deen ka zikre hussain se hai urooj
ye aam kar gayi paighame khastajan zainab
tamam shab rahi…