Kanz e Aza

Teri Zainab ne Tera

A noha for Shehzadi Zainab (s.a). Lyrics in Roman Urdu.

teri zainab ne tera deen bachaya nana

tere islam pe chadar ko lutaya nana


aisi guzri sar e bazaar ke jaan se guzri

thay tamashayi teri aal jahan se guzri

aaye pathar bhi magar sar na uthaya nana

teri zainab ne tera...


tere dushman ki raunaq ko mitaane ke liye

aur sote huwe zwhno ko jagaane ke liye

maine khutbaat sar e darbar sunaya nana

teri zainab ne tera...


nana zainab teri jis shehr ki shaahzadi thi

meri har saans mere haal pe faryaadi thi

sar jhuka jaata tha bazaar jab aaya nana

teri zainab ne tera...


kalma goyon ne mujhe sang bhi maare lekin

shaam ke log musalman thay saare lekin

koi pursa mujhe dene ko na aaya nana

teri zainab ne tera...


ye mila ajr musalmano se batlaungi

aur ye zakhm mai amma ko hi dikhalungi

maine baazu ka nishan sab se chupaya nana

teri zainab ne tera...