ujde huwe kunbe ki azadaar hai zainab
ay shaam e ghariban teri salaar hai zainab
ujde huwe kunbe ki...
pathar yahan khane hai yahan peene hai aansu
yasrab nahi ye shaam ka bazaar hai zainab
ujde huwe kunbe ki...
kat'te huwe bhai ka gala dekh rahi hai
lachaar hai bebas hai dilafgaar hai zainab
ujde huwe kunbe ki...
tareekh ke seene mein hai mehfooz abhi tak
wo khutba jo tera sar e darbar hai zainab
ujde huwe kunbe ki...
tum kaise uthaogi bhala daaghe judaai
shabbir se tumko to bahot pyar hai zainab
ujde huwe kunbe ki...
le aao usay aag ke sholon se bacha kar
sholon mein ghira abid e bemaar hai zainab
ujde huwe kunbe ki...
likha hai zafar khoon se tareekh ke rukh par
baatil ke liye aahani dewaar hai zainab
ujde huwe kunbe ki...