Kanz e Aza

Waarise Tatheer

A noha for Shehzadi Zainab (s.a), written by Haider Khursheed. Lyrics in Roman Urdu.

baba na raha bhai na rahe

bete na rahe kuch bhi na raha


waaris e tatheer hai karbobala mein berida

jis ka koi na raha bemaar abid ke siwa


karbala mein chaar soo hai be-kafan laashe pade

shaam jaane ke liye paband qaidi hai khade

siskiyon ki dab gayi shor e salasal mein sada

waaris e tatheer hai...


sar barehna hai khadi quran ki jo tafseer hai

hai bandhe baara galay aur ek hi zanjeer hai

is liye ruk ruk ke chalta jaa raha hai khaafila

waaris e tatheer hai...


dukhtare hyder tere khutbon ki ye taseer hai

shaam mein tu ne badal di deen ki taqdeer hai

zinda o painda tu ne kar diya hai la-ilaah

waaris e tatheer hai...


koi abid ko sambhale aagaya jo shaam hai

bheed hai bazariyon ki aur balwa aam hai

kalmago dete nahi chalne ka unko rasta

waaris e tatheer hai...


hai muqadar ka sikandar tu ay khursheed e hazeen

har kisi ko dehr mein taqdeer ye milti nahi

ye qalam hai maadar e shabbir ki tujhko ataa

waaris e tatheer hai...