Tanha Zainab Allah-o-Akbar
Dukhiya Zainab Allah-o-akbar
Hai Karbala Ke Maidan Me
Ya Sham Ke Bazaar Me
Be-Rida Zainab Allah-o-Akbar
Maqtal Me Tha Meshar Bapa
Jab Sar Huwa shahe Ka Juda
Gham Zada Zainab Allah-o-Akbar
Allaha-Re Wo Bekasi
Dekhi Kabhi Na Hi Suni
Sabera Zainab Allah-o-Akbar
Mushkil Ki Hai Muj-Par Ghadi
Aao Madad Ko Ya Ali
De-Sada Zainab Allah-o-Akbar
Sham-e-Gariban Aate Hi
Ahle Haram Ka Bangayi
Aasra Zainab Allah-o-Akbar
Jab Qafela Chalne Laga
Zehra Ne Di Rokar Sada
Alweda Zainab Allah-o-Akbar