Kanz e Aza

Ya Hamsheere Raza

A noha for Rasool-e-Khuda (s.a.w.s) (2008). Lyrics in Roman Urdu.

Ya hamsheere raza 2

Assalamo alayka ya kareema

Ya Kareema

Tera bhai imame zamin hai


tera baba dare hawaij hai

ya kareema - 6

tune paaya hai zainabi rutba

kazmi hai hasab nasab tera


hai raza ki riza teri marzi

hai gilaafe haram tera parda

sar pe ahle kisa ka hai saya

aapne nam fatema paya


aap zeenat hai apne baba ki aur rakhti hai zainabi lehja

Fatema zehra

tere rauze ko ye sa'adat hai

markaze fatema se nisbat hai


fark do markado me itna hai

wo baqaiyya ye qum ki jannat hai

shahzadi jo tere rauze par

motariz horahe hai sajde par


ehteraaman hai shukr ka sajda aur wo bhi khuda ke kehne par

saath dono jahan aate hai

jabhhi wo jamkaran aate hai

tujhse milne ko tere rauze par


khud imame zamaan aate hai

pohchi jo qum ajeeb manzar tha

kale parcham lage the har ek jaa

aise matam kiya hai bhai ka


qum ko tune banaya karbobala

ilmo idraak aagahi dede

misle behlol zindagi dede

naqshbardaare za'ereen bana


apne rauze pe naukri dede

hai ye rehan ki dua bibi

fikre darwesh par nazar ho teri

haath bechain hai ye matam ko


qabre zehra pe ho azadari