Kanz e Aza

Mere Bacche Palat

A noha for Pisaraan-e-Muslim (a.s), written by Waiz Sultanpuri. Lyrics in Roman Urdu.

haye mere raaj dulaare

haye meri aankhon ke taare


ro ke kehti thi muslim ki bewa

mere bacche palat kar na aaye


dekh paayi na phir unka chehra

mere bacche palat kar na aaye


meri saansein ukhadti hai har dam

aur nikalta hai har dam mera dam

mere noor e nazar mere lakhte jigar

jaa ke pardes phir aaye na laut kar

unka na jaane kya haal hoga

mere bacche palat...

ro ke kehti thi...


khwaab jis din se maine ye dekha

khoon mein tar hai dono ka kurta

mere noor e nazar mere lakhte jigar

jaa ke pardes phir aaye na laut kar

moo ko aata hai mera kaleja

mere bacche palat...

ro ke kehti thi...


meri aaghosh bharti hai aahein

dhoondti hai unhe meri baahein

mere noor e nazar mere lakhte jigar

jaa ke pardes phir aaye na laut kar

dil mein chubta hai har waqt naiza

mere bacche palat...

ro ke kehti thi...


chain bacchon ke bin kaise aaye

ab sukoon maamta kaise paayein

mere noor e nazar mere lakhte jigar

jaa ke pardes phir aaye na laut kar

hai nigahon mein meri andhera

mere bacche palat...

ro ke kehti thi...


ye khabar jab se mai ne suni hai

unka kufe mein koi nahi hai

mere noor e nazar mere lakhte jigar

jaa ke pardes phir aaye na laut kar

dard ka dil pe chalta hai aara

mere bacche palat...

ro ke kehti thi...


mujhko qismat ne ye din dikhaya

waqt ne ye sitam mujhpe dhaaya

mere noor e nazar mere lakhte jigar

jaa ke pardes phir aaye na laut kar

uth gaya sar se waali ka saaya

mere bacche palat...

ro ke kehti thi...


apne baba se dono bichad kar

kha rahe honge dar dar ki thokar

mere noor e nazar mere lakhte jigar

jaa ke pardes phir aaye na laut kar

dil tadapta hai is gham se mera

mere bacche palat...

ro ke kehti thi...


haye waiz wo dukhiyari maadar

ay ali ro ke kehti thi aksar

mere noor e nazar mere lakhte jigar

jaa ke pardes phir aaye na laut kar

leke apne dulaaron ka kurta

mere bacche palat...

ro ke kehti thi...