sinan ibne anas ko dekh kar kehti thi ye laila
mere kadiyal jawan bete ne tera kya bigada tha
kaleje pe ali akbar ke maara kis liye naiza
mere kadiyal jawan bete ne tera kya bigada tha
duayein maanga karti thi mai jiske waaste har dam
karoongi zindagi bhar ab usi farzand ka matam
tere naize ne meri zindagi mein likh diya rona
mere kadiyal jawan bete...
wo mere dil ki thandak tha meri aankhon ka taara tha
ay zaalim kya pata tujhko wo mujhko kitna pyara tha
qaraar aata tha mere dil ki chehra dekh kar uska
mere kadiyal jawan bete...
sina seene pe tu ne maar di itna bhi na socha
ki maa jab umr kho deti hai tab palta hai ek beta
meri sab mehnaton ko pal me hi pamaal kar daala
mere kadiyal jawan bete...
rehega ghao ab ye hashr tak mere kaleje par
bahot pyasa tha jab dunya se utha hai mera akbar
usay pyasa hi tu ne maar daala rehm na khaaya
mere kadiyal jawan bete...
mai apne laal ki baraat le kar jaane waali thi
ali akbar ki dulhan ghar mein le kar aane waali thi
na ban'ne paaya mera laal tere zulm se dulha
mere kadiyal jawan bete...
bata deta agar che tujhko maal o zar ki laalach thi
mai apne laal pe sab maal o zar qurban kar deti
kaleja kaat daaal tu ne ay jallad maadar ka
mere kadiyal jawan bete...
sitam dhaaya hai tu ne mere dil ke chain pe zaalim
liye naize pe sar hasta hai mere bain pe zaalim
zara sa bhi tujhe na maa ki mamta ka khayal aaya
mere kadiyal jawan bete...
sina ki nok pe roye shahe mazloom ay waiz
bohat royi tadap kar zainab o kulsoom ay waiz
janabe umme laila ne padha jis waqt ye nauha
mere kadiyal jawan bete...