haye sakina haye sakina
haye yateema haye yateema
shimr ne khaak pe dikhla ke jo phaynka pani
dekhti reh gayi masoom sakina pani
khoon ankhon mein utar aaya yateema royi
apni ghurbat pe tadap kar ke wo dukhiya royi
kar ke rukh dayr talak jaanibe darya royi
yaad saqqa ki bahot aayi sakina royi
roke deti thi sada dekh lo aakar ammu
ek khatre ke liye khaati hoon thokar ammu
shimr ne khaak pe...
kaifiyat pyaas ki kaisi thi koi kya jaane
kitni shiddat se wo pyasi thi ye allah jaane
pyaas ki kaunsi manzil pe thi dukhiya jaane
ye to bas baali sakina ka kaleja jaane
mashk pani ki jidhar thi wo udhar jaati thi
ghudkiyan shimr jo deta tha to darr jaati thi
shimr ne khaak pe...
jisne baalon ko pakad kar ke tamache maare
dono kaano ki lawein cheer ke cheene bunde
jisne barsaye yateema pe musalsal durre
khaali kooze ko liye aayi jab uske aage
darr ye kehta tha sakina se na maango pani
pyaas kehti thi bas ab jald pila do pani
shimr ne khaak pe...
saamne shimr ke lekar ke gayi jab kooza
daant kar baali sakina ko ye zaalim bola
pehle sairaab suno shaam ka lashkar hoga
phir ye umeed dilaayi ki tumhe bhi dunga
apne haiwano ko zaalim ne pilaya pani
aur yateema ko dikha kar ke bahaya pani
shimr ne khaak pe...
aas jab tod di bacchi ki sitamgaron ne
aur ek zulm kiya badh ke jafakaron ne
khaynch kar baalon se bekas ko gunehgaron ne
khaak par phaynk diya zor se badkaron ne
aur ye kehne lage awaaz lagao usko
jis dilawar ki dulaari ho bulao usko
shimr ne khaak pe...
wo masayib wo qayamat wo musibat waiz
kaun likhega yateema ki wo ghurbat waiz
thi ajab dukhtare shabbir ki haalat waiz
le gayi qabr talak pyaas ki shiddat waiz
aaj tak mujhko riwayat mein kahin ye na mila
pani kab aur kahan baali sakina ne piya
shimr ne khaak pe...