qatl huwe bhai ujad gayi zainab
reh gayi tanhaai ujad gayi zainab
naiza akbar ke kaleje pe laga wawaila
laasha qasim ka bhi pamaal hua wawaila
haye abbas sa bhai na raha wawaila
kat gaya ran mein baradar ka gala wawaila
sab ko qaza aayi ujad gayi zainab
qatl huwe bhai...
hyder o fatema zehra ki dulaari zainab
jis ke athara baradar thay wo pyari zainab
aaj pardes mein lagti hai bichari zainab
kis ko awaaz de ab dard ki maari zainab
gham ki ghata chaayi ujad gayi zainab
qatl huwe bhai...
mujhko pyara tha bahot akbare zeeshan mera
shadi akbar ki rachaungi tha armaan mera
paara paara hua armaano ka quran mera
ek hi din mein hai ujda ye gulistan mera
kaise khiza aayi ujad gayi zainab
qatl huwe bhai...
ek din dhoop mein tha jab mera chehra bhaiya
tu ne daaman se aba ke kiya saaya bhaiya
jalti reti pe tera aaj hai laasha bhaiya
kar na paayi mai teri laash pe saaya bhaiya
kya kare maajayi ujad gayi zainab
qatl huwe bhai...
haye abbas alamdar ki pyari khwahar
jo nikalti thay to jhuk jaati thay har ek nazar
uspe bazaar mein barsayege zaalim pathar
nange sar jayegi darbar mein qaidi ban kar
haye re dukh paayi ujad gayi zainab
qatl huwe bhai...
aake hathon mein layeeno ne jo baandi rassi
sar jhuka kar ke bahot royi ali ki bete
dekh kar suye nehr kehne lagi ay ghazi
dekh le aake zara jaati hoon ban kar qaidi
ay mere shehdayi ujad gayi zainab
qatl huwe bhai...
lut gaya fatema zehra ka chaman ay waiz
so gaye dasht mein sab tishna dahan ay waiz
haye mil paaya na pyason ko kafan ay waiz
reh gayi khaak udaane ko behan ay waiz
bas ye sada aayi ujad gayi zainab
qatl huwe bhai...