Roke fizza ye karti thi nouha, aaya taboot e saaniye zehra
Haif ghurbat me aabid hai tanha, aaya taboot e saaniye zehra
Hai bhateeje na bete na bhaai, ban me tanha hai gham ki sataayi
Aaj hamdam nahi koi inka, aaya taboot e saaniye zehra
Yaad hai wo madine se chalna, saath kunbe ke ghar se nikalna
Haye ghurbat me de'n koun kaandha, aaya taboot e saaniye zehra
Aye alamdaare shabbir aao, dekho jaati hai humsheer aao
Aake sajjad ko do sahaara, aaya taboot e saaniye zehra
Shaahe bekas ke ghamqaar akber, bibi zainab ke dildaar akber
Bhai tanha hai do saath us ka, aaya taboot e saaniye zehra
Ek zara dekho naashaad e qasim, kyaa phupi ki nahi yaad qasim
Aah sehra me mehshar hai barpa, aaya taboot e saaniye zehra
Ho kaha'n uth ke aye aun aao, Aao sath apne mohammed ko laao
Maa ki qidmat ka hai waqt beta, aaya taboot e saaniye zehra
Ghutniyo chal ke tum aao asghar, maa ko behnou ko bulwaao asghar
Be zabaani me ho ye ishaara, aaya taboot e saaniye zehra