sada ye deti thi binte ali hussain ke baad
nahi hai maut se kam zindagi hussain ke baad
jahaad karti gayi karbala se shaam talak
ali ki ban gayi beti ali hussain ke baad
sada ye deti thi...
ali ki beti ne shamsheer e istiqamat se
badal di jang ki tareekh hi hussain ke baad
sada ye deti thi...
galay mein tauq rasan basta paon mein bedi
yehi hai waarise aale nabi hussain ke baad
sada ye deti thi...
kaha ye zauja e hurr se tadap ke zainab se
mitaane aayi hoo tashna labi hussain ke baad
sada ye deti thi...
wo jis mein jang kare sheer khwar bacche bhi
phir aisi fauj na dekhi gayi hussain ke baad
sada ye deti thi...
rehaan azmi jaisi namaz sheh ne padhi
ada na ho saki ab tak kabhi hussain ke baad
sada ye deti thi...