khuli hai tashnalabi ki kitab pani mein
wafa dikha gayi khyber ka baab pani mein
jamaale hazrate abbas taygh o mashk o alam
chamak rahe hai kayi aaftab pani mein
khuli hai tashnalabi...
sawaar pyasa raha rahwaar pyasa raha
agarche bheeg chuki thi raqaab pani mein
khuli hai tashnalabi...
idhar sabeel lagayi udhar mehakne lage
gham e hussain ke taaza gulaab pani mein
khuli hai tashnalabi...
labe sakina se jo pyaas ban ke ubhra tha
simat ke aa gaya wo izteraab pani mein
khuli hai tashnalabi...
agar hussain na hote to mil gaya hota
tamaam kaar e risalat maab pani mein
khuli hai tashnalabi...
tapakne laga hai dil khoon ho ke aankhon se
na jaane dekhti kya hai rabab pani mein
khuli hai tashnalabi...
bajuz shuja ke abbas e naamwar rehaan
likha hai kis ne wafa ka nisaab pani mein
khuli hai tashnalabi...