darwaza e qaima pe liye haath mein kooza
abbas ka shabbbir ka wo takti thi wo rasta
behlati thi dil apna wo de de ke dilaasa
aab shaam hui pani liye aayenge chacha
phir khud hi wo kehne lagi ghabra ke phupi se
darya se abhi tak mere baba nahi palte
gehre huwe ashoor ko jab shaam ke saaye
kehti thi sakina koi ye mujhko bataye
kyun ay phuphi amma mera baba nahi aaye
din doob gaya wa hussaina
pani na mila wa hussaina
sookha hai gala wa hussaina
sun kar ye sakina ka bayan saani e zehra
kehne lagi darya pe bohat sakht hai pehra
pani abhi layenge meri jaan tere baba
mashkeeza liye wa hussaina
darya pe chale wa hussaina
wo tere liye wa hussaina
phir kehne lagi roke sakina phupi jao
baba nahi aate to chacha jaan ko bulao
bhaiya ali akbar hai kahan kuch tu batao
lagta hai mujhe wa hussaina
sab rooth gaye wa hussaina
rone se mere wa hussaina
keh do ke mai ab pyaas ka shikwa na karungi
seene pe bhi sone ke liye zid na karungi
pani nahi milta na sahi ashk piyungi
sunlo ye sada wa hussaina
laut aao chacha wa hussaina
tum behre khuda wa hussaina
kyun khaali pada hai ali asghar ka ye jhoola
hujre mein nazar aata nahi qasim e naushah
kyun khoon mein dooba hai alam mere chacha ka
dam ghutne laga wa hussaina
seene mein mera wa hussaina
do mujhko sada wa hussaina
chadar ye lahoo rang tumhari hui kaise
kya gham hai ke aankhon mein nazar aate hai halqe
maine to tumhe dekha nahi is tarha rote
kya gham hai tumhe wa hussaina
batloa hamay wa hussaina
aray hum bhi to sune wa hussaina
zainab ko bhi aakhir na raha zapt ka yaara
sar peet ke kehne laagi ye saani e zehra
aada na bhare ghar ko sakina tera maara
sab maare gaye wa hussaina
pani ke liye wa hussaina
baba bhi tere wa hussaina
ab koi nahi aayega ab sabr ki jaa hai
maqtal mein tere pyaron ka sar tan se juda hai
mardon mein faqad sayyede sajjad bacha hai
khamosh raho wa hussaina
aur sabr karo wa hussaina
bas ashk piyo wa hussaina
kuch dayr mein jal jayenge qaime bhi hamare
chin jayenge kaano se gohar bibi tumhare
kaano se tere khoon ke bahege abhi dhaare
yeh zulm chala wa hussaina
ay dukhtare man wa hussaina
basndhege rasan wa hussaina
bhadkegi abhi aag jalega tera daaman
sar naizon pe aur khaak pe tadpege sabhi tan
shabbir ki ghurbat pe bohat royega ye ban
ye baani e shar wa hussaina
le jaaye kidhar wa hussaina
kisko hai khabar wa hussaina
sajjad ke pairon mein bhi zanjeer padegi
daadi teri roti hui hamraah chalegi
chadar na tere aur na mere sar pe rahegi
be gor o kafan wa hussaina
dekhegi behan wa hussaina
shabbir ka tan wa hussaina
rehaan sakina ne suni dard ki taqreer
boli ke phupi yun bhi bigad jaati hai taqdeer
ab kuch na kaho chalte hai seene pe mere teer
karti thi buka wa hussaina
ay ahle jafa wa hussaina
kya zulm kiya wa hussaina
sunlo ye sada wa hussaina
laut aao chacha wa hussaina
laut aao chacha