Kanz e Aza

Wehab e Kalbi

A noha written by Rehaan Azmi. Lyrics in Roman Urdu.

din tha ashoor ka shabbir pe tanhai thi

har taraf girya o matam ki ghata chayi thi

ek baraat kisi dulha ki wan se guzri

naam naushah ka mehzar may tha wehab-e-kalbi


ruk gaya dasht may ek saaneha aisa dekha

haath se kangna gira sar se zameen par sehra

wehab-e-kalbi ne kaha kiske hai farzand janab

bole shabbir hai khatoone jina maa ka khitaab

baap mera hai ali nana nabi-e-do sara

wehab-e-kalbi ka ye sunte hi badan kaamp gaya


roke shabbir se kehta tha ye wehab-e-kalbi

zindagi aap pe sadqe meri farzand e nabi


sheh ne farmaya uroosi ka hai joda tan par

ek dulha ke to mai ro chuka tukde chunkar


mera farzand jawan haye wo mera akbar

uski shadi ka tha arman wo mera noor e nazar

khake phal barchi ka rone ko mujhe chod gaya

apne malboos e uroosi ko kafan tu na bana


wehab-e-kalbi ne kaha mujhko hai hukm e madar

jaa mere laal tu maidan may dulha ban kar


tera shehbala hai farzand e rabab e muztar

sehra akbar pe tu abbas pe tu waar de sar

teri dulhan koi kubra ke barabar to nahi

uska aanchal sar e kulsoom ki chadar to nahi


bole sheh tu mera mehman hai wehab-e-kalbi

le baraat ko tu apni nikal jaa jaldi


utne waali hai abhi dashte bala may aandhi

mera allah mubarak kare tujh ko shadi

mai teri laash pe ro'un mujhe manzoor nahi

aale imran hoo mai ye mera dastoor nahi


wehab kehne laga imran ke emaan ki qasam

ab meri raah e shahadat se na paltenge qadam


aap ko chod ke is dasht may ya shaah e umam

laut jaun to khafa honge rasool-e-akram

pad liya kalma e tauheed musalman hoo mai

aap ki ghurbat o mazloomi pe qurban hoo mai


jazba e shauq e shahadat pe hussain ibne ali

bole aa seene se lagja mere wehab-e-kalbi


muntazir hai dar e jannat pe tere haq ke nabi

tere baraati bhi tu bhi hai muqaddar ka dhani

meri nusrat may agar sar tera kat jayega

mujhse pehle bhi tu jannat may chala jayega


wehab-e-kalbi ne kaha khuld nahi hai darkaar

khuld to aap ke qadmon may padi hai sarkar


aap raazi hai to jannat ki talab hai bekaar

dije marne ki ijazat ke ye sar tan pe hai baar

khuld to aap ke maqtal ko bana dega khuda

wehab-e-kalbi ka watan aaj se hai karbobala


mil gaya izne wigha ran may qayamat aayi

jaun aur hur ki tarha usne shahadat paayi

sheh puakre mera maara gaya ek aur bhai

ghar may zainab ne udhar farsh e aza bichwayi

shiddat e gham se chacha keh ke sakina royi

bola shehzadi na rona laasha e wehab-e-kalbi


ay raza naar se noori hua wehab-e-kalbi

maasiyat dhal gayi jab royi ali ki beti


zaujaye wehab se zainab ne kaha ay bibi

umr bhar wehab ki laazim hui pursa dari

haye rehaan bayan kaise karoo wo manzar

zaujaye wehab ko zainab ne udhayi chadar