Kanz e Aza

Wehshat Hai

A noha for Shehzadi Sakina (s.a), written by Shahid Jafer. Lyrics in Roman Urdu.

wehshat hai udasi hai zindan ka andhera hai

har lamha sakina par bas aakhri lamha hai


bibi pe guzarti hai kya raat qayamat ki

ukhdi hui saansein hain toota hua lehja hai

wehshat hai udasi hai…


zaalim ne gohar tere yun kaano se khaynche hai

reh reh ke lahoo ab tak zakhmo se tapakta hai

wehshat hai udasi hai…


abbas na tadpao abbas chale aao

darwaza e zindan hai aur bali sakina hai

wehshat hai udasi hai…


ashkon hi se dhona hai dono ka lahoo zainab

ek bhai ka kurta hai ek bachi ka kurta hai

wehshat hai udasi hai…


shabbir ko ro aayi baysheer ko kho aayi

ab tum bhi gayi bibi ab maa ka liye kya hai

wehshat hai udasi hai…


masoom rasan basta khamosh hui aakhir

zanjeer nahi hilti sajjad ko sakta hai

wehshat hai udasi hai…


ye haal hua bibi sab ka tere matam may

bheegi hui aankhein hai utra hua chehra hai

wehshat hai udasi hai…


shahid koi sughra ko jaa kar ye khabar de de

wo chaar baras waali zindan may tanha hai

wehshat hai udasi hai…