Kanz e Aza

Ye Baat Areeze May

A noha written by Shahid Jafer. Lyrics in Roman Urdu.

sadiyon ke har ek zulm ko kaise likhoo

jo dard hai seene mein nahi likh sakta

aap aaye to qadmon pa giroo arz karoo

har baat areeze mein nahi likh sakta

ya imam ya imam ya imam ya imam

ye baat areeze mein nahi likh sakta


dukh ye hai ke ghairon ke ilawa humne

apno se bhi hum saaye mein paaya humne

ye mimbar-o-mehrab ke saudagar log

jinke liye khud ko bhi mitaya humne

ye baat areeze mein...


is tarha se is deen ki khidmat ki hai

majlis mein dil-o-jaan se khitabat ki hai

aur bait ke mimbar pe bade faqr ke saath

is zikr ki laakhon mein tijarat ki hai

ye baat areeze mein...


fankaar bhi shayar bhi sadakaar bhi hum

ehsaas nahi hai ke adakar bhi hum

naghmon ko bhi nauhon mein badalte hai humhi

kehne ko shah-e-deen ke azadar bhi hum

ye baat areeze mein...


aur doosri jaanib ye rawayya barta

matam ki sakhawat ko bhi tabdeel kiya

aur maang ke isnad e kisa apno se

khud aaya e tatheer ko mashkook kiya

ye baat areeze mein...


lekin ye haqeeqat hai ke ay amre khuda

kam wo hai jinhe daulat-o-shohrat ne dasa

ay aksariyat qaum ki mukhlis ke jisay

maqsad he hata hi nahi sakte wallah

ye baat areeze mein...


hum log namazi bhi azadar bhi hai

aur apni shahadat ke talabgaar bhi hai

ye dushmane hyder se bhi kehde koi

har tarha se jaan dene pe tayyar bhi hai

ye baat areeze mein...


nazron mein hai wo karbobala ka manzar

barchi mein tha jis dam ali akbar ka jigar

maqtal ki zameen surkh hui jaati thi

dam tod'ta tha baap ke haathon pa pisar

ye baat areeze mein...


chalta ha wo ek teer jo seh-shoba hai

is zulm pe tareekh bhi sharminda hai

wo teer jo asghar ke galay par hai laga

wo teer har ek qalb mein paywasta hai

ye baat areeze mein...


bedasti ke aankhon mein jo ye aansu hai

jazbaat alamdar ke bekaabu hai

shabbir uthaate hai jinhe ro ro kar

saqqaye sakina ke kate baazu hai

ye baat areeze mein...


phir waqt ne shahid na ye manzar dekha

kat'ta hua sajde mein koi sar dekha

bemaar ne qaime ka hata kar parda

shabbir ka sar noke sina par dekha

ye baat areeze mein...