wo gul sadqa hai tera ye kali teri badolat hai
bahaar e baagh e emaan ay ali teri badolat hai
wo gul sadqa hai tera...
tere hamlon ne saqqa e haram darya ulat daala
sipaah e shaam ki sharmandigi teri badolat hai
wo gul sadqa hai tera...
mohamed ki zaban khyber may ye tasdeeq karti hai
nuzool e aayat e naad e ali teri badolat hai
wo gul sadqa hai tera...
jo bachkar bhaag nikle nehr se mud mud ke kehte thay
ali ke sher ab khud zindigi teri badolat hai
wo gul sadqa hai tera...
ali gyara imamo ke hai tere noor may jalwe
nabi ke deen ki baara dari teri badolat hai
wo gul sadqa hai tera...
tawaaf e khana e kaaba may musa roz milte hai
haram may toor ki jalwagari teri badolat hai
wo gul sadqa hai tera...
samajhta kaun kaafir kaun hai aur kaun momin hai
ye farq e kufr o deen taygh e ali teri badolat hai
wo gul sadqa hai tera...
hussain ibne ali o fatema ke chand kya kehna
andheri raat may ye chandni teri badolat hai
wo gul sadqa hai tera...
bichaye boriya baitha hai tu taqt e khilafat par
shehenshahi nabi ye saadgi teri badolat hai
wo gul sadqa hai tera...
balayein le le salik aa idhar ay ulfat e hydar
ye jannat aur ye jaam e kausari teri badolat hai
wo gul sadqa hai tera...