ya aeliya ya murtaza ya bul hassan mushkil kusha
ya abu turab ya abu turab ya abu turab ya abu turab
tere dar pe aaye hai tere sawaali
tere dar se koi kab gaya hai khaali
sun raha hai maula tu sada hamari
tere saamne hai ilteja hamari
ya abu turab ya abu turab
ay mere maula ho mere dil ki dua mustajaab
ya abu turab...
karz momino ka gaib se adaa kar
muflison ko maula rizq tu ataa kar
ya abul hassan kar door har bala ko
tu usay amaan de jo bhi be-amaan ho
ya abu turab ya abu turab
nazre karam se ho teri sara jahan faiziyab
ya abu turab...
tujhse lau lagaye hai bohat dukhi hai
qaid bekhata jo tere matami hai
tu unhe rehaai ki khabar suna de
mazhar ul ajayib maujiza dikha de
ya abu turab ya abu turab
do jahan mein tere maujize hai maula be-hisaab
ya abu turab...
maula wo kaneezein ban gayi sawali
dil hai jin ke muztar godhiyan hai khaali
ay saqi karam tu bibiyon pe kar de
bete betiyon se khaali godh bhar de
ya abu turab ya abu turab
tu ne har sawaal se pehle hi diya hai jawab
ya abu turab...
meri maaon behno iltija hai meri
tum rakho hamesha apni parda daari
ghaur se suno tum ye sada e zainab
hai tumhare haq mein ye dua e zainab
ya abu turab ya abu turab
majlison mein bibiyan aaye na kabhi be hijab
ya abu turab...
har dua se pehle ye dua kare hum
ruk na paye majlis ruk na paye matam
ye sada e matam hashr tak na kam ho
ho ghame shahe deen aur na koi gham ho
ya abu turab ya abu turab
aayega ghame hussain se jahan mein inquilab
ya abu turab...
waasta hai tujhko shaahe karbala ka
zainab e hazeen ka khoon bhari rida ka
maut ho jo sar par zindagi badha de
la-dawa mareezon ko tu hi shifa de
ya abu turab ya abu turab
teri raza ho to ho bemaar sabhi sehtiyab
ya abu turab...
tujhse bheek leti hai har ek hasti
door kar de maula sab ki tangdasti
tere haat mein hai rab ka har khazana
maang kar to dekhe tujhse ye zamana
ya abu turab ya abu turab
maangne waalon ko tu karta hai ataa be-hisab
ya abu turab...
gham mana rahe hai hum shahe huda ka
kar rahe hai matam shaah e karbala ka
halqe shaahe deen par chal raha tha khanjar
dil laraz raha tha dashte nainawa ka
ya abu turab ya abu turab
roi zameen roya falak surkh hua aaftab
ya abu turab...
ye dua labon par subho sham aaye
tere zaakiron mein mera naam aaye
sar jhuka diya hai tere dar pe aa ke
safdar e hazeen ko sar buland kar de
ya abu turab ya abu turab
karle nauhakhwan o shaairon mein mera intekhab
ya abu turab...