Ya Ali Aaiye Zainab ko bachaane ke liye
Faoje ki'n aati hai khaimo ko jalaane ke liye
Kabse behosh Dua hai na ghiza Abid ko
Taogo zanjeer bhi laaye hain pinhaane ke liye
Sare Shabbir hai naize pa Alam waawaila
Saaniye Fatima Zehra ko rulane ke liye
Ghode dowdaate huwe aate hain naari rann se
Masnade Ahmade Muatar jalane ke liye
Laashe Shabbir pa kehti hai Sakina rokar
Baba Main Aayi Hu'n Rukhsar dikhane ke liye
Bekasi dekhiye aata nahi'n koi monis
Laash Mazloom ki Magtal se uthane ke liye
Yu'n to Duniya me bohat guzre hain Sabir Hilmi
Sabr lekin hai Muhammad ke Gharaane ke liye