Kanz e Aza

Ya Ali Madad

A noha for Imam Ali (a.s), written by Akhtar Abbas Zaidi (2025). Lyrics in Roman Urdu.

ya hyder hyder hyder hyder

hyder ali maula ali maula hyder

hyder ali maula ali maula hyder


ali ibne abi talib ghalib alaa kulle ghalib

agha jaanam agha jaanam agha jaanam ya ali

ishqe ali rehmatullah bughz e ali lanatullah

madhosh hoon mai jaam e wilayat pee kar

baitha hoon dar e ishq pe misle qambar

mat chedo mujhe mai sag e hyder hoon mawali hoon

abbas ke baba ka mai aashiq hoon jalaali hoon


log deewana o mastana samajhte hai mujhe

aur mai hazrate behlol ki danaayi hoon

mera qibla hai najaf aur manzil hai ali

jo dhadakta hai mere seene mein wo dil hai ali

mujhko pehchanle dunya mai ali waala hoon

jod kar haath mai karta hoon salaam aur kehta hoon


ya ali madad hyder ya ali madad hyder

ye sunnat e nabi hai kaho ya ali madad


ya ali mujhko tere ishq e muqaddas ki qasam

tu ne har daur mein rakha hai malango ka bharam

laal shahbaaz qalandar bhi yehi kehte hai

hyderiam qalandaram mastam

bakhuda aaj bhi sehwan se ye aati hai sada

aasmano mein yehi kehte huwe mai udta hoon

ya ali madad hyder ya ali madad hyder

ye sunnat e nabi hai kaho ya ali madad


aaj lagta hai mujhe daar pe aana mera

ya ali aap ki nalayn thikana mera

jo bhi munkir hai usay maut nazar aata hai

naara e hyder e karrar lagana mera

muskura kar ye sar e daar kaha meesum ne

wird ye karte huwe mai bhi yahan tak pahuncha hoon

ya ali madad hyder ya ali madad hyder

ye sunnat e nabi hai kaho ya ali madad


saari dunya ne ye ilzaam lagaya mujh par

maine iqraar kiya mai hoon ali ka naukar

dost ehbaab halaali bhi hai maulayi bhi

baith kar shaam o sehar karte hai hyder hyder

bas wohi shakhs mujhe apna nazar aata hai

jis ke pakeezah labon se mai ye jumla sunta hoon

ya ali madad hyder ya ali madad hyder

ye sunnat e nabi hai kaho ya ali madad


kaash din aisa bhi aaye ke ali mujhse kahe

aa ke mimbar pe meri jang sunao mujhko

kaisa lagta hoon mai jab mujhpe jalaal aata hai

ran mein jab hazrat e imran ka laal aata hai

unke qadmon se lipat kar ye kahunga maula

jang ladna koi seekhe to ali se seekhe

jis ke chehre se chalakte ho elaahi tewar

aur lehje se dahal jaate ho lashkar ke jigar

taygh haathon mein jo aajaye kahe jinn o bashar

al-amaan sher e khuda faatah e khyber hyder

tera hamla meri sarkaar nahi rok saka

aaj tak koi tera waar nahi rok saka


ali waliyullah ali karamallah

ali asadullah ali wajhullah

ali ainullah ali janbullah

ali baabullah ali izzatullah


sher e jari tu hai nafs e nabi tu hai

khyber mein utri jo naade ali tu hai

jab bhi koi mushkil aayi to maulaji

maine kaha ya ali madad

aag se tu ne hi ibrahim bachaya

aur hazrate yaqub ko yusuf se milaya

tu sab ki madad karta raha jis ne pukara

ya ali madad hyder ya ali madad hyder

ye sunnat e nabi hai kaho ya ali madad


akhtar aur irfan e aza naade ali par

khaas karam hai ye tera saaqi e kausar

aate hai majlis mein ye jab bar sar e mimbar

hota hai sab ke labon par ali hyder hyder