ya ali maula
suna har ek ne jibreel ne pukara hai
khuda ke ghar mein ali ko adoo ne maara hai
har ek ali ka azadaar be sahara hai
khuda ke ghar mein...
sar e ali pe lagi zehr mein bujhi shamsheer
shakhi ne deen ke rehbar ki ki na kuch tauqeer
yateem hogaye abbas o shabbar o shabbir
yateem hogayi kulsoom zainab e dilgeer
lahoo se surk hua kaisa ye musalla hai
khuda ke ghar mein...
najaf ke simt chale jayenge ali ab to
palat ke aayenge ab to kabhi na kufe ko
sitamgaron ki sada aayegi ke aage bado
nabi ali nahi ab ahlebait ko looto
har ek qalb ne maula tumhe pukara hai
khuda ke ghar mein...
madi ke dar pe jo peshaniya lagadte thay
wo aur akdenge pehle se jo akadte thay
hassan se bhi wo ladenge jo tumse ladte thay
hassan se jhagdenge jo tumse bhi jhagadte thay
hai aage toofan bahot door ab kanara hai
khuda ke ghar mein...
hussain ko bhi shakhi ghayr kar le aayenge
wo bhooke pyason pe teere sitam chalayenge
badegi baani e shar qaime bhi jalayenge
haram ko ya ali be-inteha satayenge
sada uthegi shahe karbala ko maara hai
khuda ke ghar mein...
nishana teer e sitam ka banega asghar bhi
kaleja deen pe dega jawan akbar bhi
nabi ke deen pe fida hoyenge bahattar bhi
to degi apni rida murtaza ki dukhtar bhi
ali rahe na jahan mein to ye nazara hai
khuda ke ghar mein...
kata ke shaane tarayi pe soyega abbas
bujhayi jaa na sakegi sakina bibi ki pyaas
jo bibiyon se bandhegi wo toot jayegi aas
sitamgaron se bachane ko koi hoga na paas
sitamgaron ka sitam kab unhe gawara hai
khuda ke ghar mein...
lahoo ke askhon se moo dho gaya ali maula
jo jaagta tha bashar so gaya ali maula
tumhare baad ghazab hogaya ali maula
na jaane deen kahan kho gaya ali maula
jo tumse bughz tha karbal mein aashkaara hai
khuda ke ghar mein...
pidar nahi to mile unke dil ko kaise chain
tadapna beton ka aur haye betiyon ka bain
janaza saaqi e kausar ka le chale hasnain
hassan kaho ke chute humse shaahe badr o hunain
har ek chaahne waale ne ye pukara hai
khuda ke ghar mein...