Kanz e Aza

Ya Ali o ya Ali

A noha written by Naushad. Lyrics in Roman Urdu.

nauhagar zameen hai khoon ro raha hai aasman

masnad e azaa bichi hui hai bar sare jinaa

daastan e panjatan pe ro rahe hai do jahan

kaampti hai ye sadayein sun ke qabre mustafa


ya ali o ya ali o ya ali e murtaza


aasman se de raha hai ek manadi ye sada

ya ali o ya ali o ya ali e murtaza


baad e payambar wo zulm hua

aale nabi ka koi na raha

rassi se hyder ka baandha gala

pehlu e zehra bhi toda gaya

roti thi binte nabi yani hamraaz e ali

haye ye zamana hum se kitni jaldi phir gaya

ya ali o ya ali o ya ali e murtaza...


baandh ke hyder ko rassiyon se

galiyon mein zaalim jab leke chale

naala o shewan zehra ne kiye

baazu pe shamsheer ke kund pade

fatema par ye jafa wo bhi pesh e murtaza

ek shikasta pehlu bibi par sitam ki inteha

ya ali o ya ali o ya ali e murtaza...


dil mein liye gham zehra mar gayi

khaana e hyder soona kar gayi

fatema pesh e paigambar gayi

pehlu shikasta hi le kar gayi

hogaye tanha ali dekhlije ya nabi

dard e dil bayan karega kis se shaah e laafata

ya ali o ya ali o ya ali e murtaza...


zainab o kulsoom hasnain sabhi

karte hai mehsoos amma ki kami

kaisi musibat ye aan padi

rote hai tanhaiyon mein ali

sabr e ayoobi kahan sabr e hyderi kahan

qabr ka nishan bhi bamasl hai chupa diya

ya ali o ya ali o ya ali e murtaza...


silsila e zulm phir bhi na ruka

qatl ali ko masjid me kiya

khoon se musalla rangeen hua

ghar mein khuda ke hai hashr bapa

chal gayi taygh e jafa zakhmi hai sher e khuda

kaun rotiyan yateem bacchon ko khilayega

ya ali o ya ali o ya ali e murtaza...


zehr e dagha phir shabbar ko diya

jis ke asar se dil tukde hua

daagh e yateemi qasim ko mila

teeron se lashe ko chalni kiya

hassan e sabzqaba bhi na dunya mein raha

juz hussain panjetan mein ab koi nahi bacha

ya ali o ya ali o ya ali e murtaza...


daste sitam aur kuch aage badha

saamne aayi phir karbobala

shimr ka khanjar bekas pe chala

behno ke aage sar sheh ka kata

cheekhti thi fatema rehm kar behre khuda

kar diya sitamgaron ne panjetan ka khatema

ya ali o ya ali o ya ali e murtaza...


laashon pe ghode daudaye gaye

bibiyno ke dil dehlaye gaye

haath rasan se bandhwaye gaye

pushton pe durre barsaye gaye

shab ki tareekiyon mein jiska taaboot utha

uski betiyan phirayi jaa rahi hai berida

ya ali o ya ali o ya ali e murtaza...


nauha wo naushad jo tu ne likha

shadman ye hai zehra ki ataa

qabr e nabi aur shaah e laafata

zer e kafan khud karte hai buka

peeto sar ahle aza fatema dengi jaza

ye wo gham hai ahle aasman mein bhi hai bapa

ya ali o ya ali o ya ali e murtaza...