tere marne se kamar toot gayi hai abbas
marsiya shaah ke honton pa yehi hai abbas
bhai se bhai bichadta hai hamesha ke liye
ye judaai ki hawa kaisi chali hai abbas
tere marne se kamar...
tere shaano ke bharose thi rida zainab ki
haye ye aas bhi ab toot rahi hai abbas
tere marne se kamar...
mashk jis ke liye darya ki taraf laaye thay
muntazar wo dar e qaima pe khadi hai abbas
tere marne se kamar...
ek baar apni zuban se mujhe bhai keh do
aarzoo toote huwe dil ki yehi hai abbas
tere marne se kamar...
kya hua aap ka bat'tees baras ka bhai
mujhse tanhaai meri pooch rahi hai abbas
tere marne se kamar...
dil ke tukdon ko bikharte huwe dekha ab tak
aur ab tum se judaai ki ghadi hai abbas
tere marne se kamar...
muntazar sirf sakina hi nahi hai teri
raah sughra bhi khadi dekh rahi hai abbas
tere marne se kamar...
shiddat e tashna labi aur judaai teri
mere seene mein ajab aag lagi hai abbas
tere marne se kamar...
apni khairaat se bhar dijiye daaman e bilal
daastan usne tere gham ki likhi hai abbas
tere marne se kamar...