Kanz e Aza

Thaame Hai Alam

A noha for Moula Abbas (a.s), written by Ali Izhaar. Lyrics in Roman Urdu.

thaame hai alam khoon mein dooba hai alamdaar


narghe mein layeeno ke akela hai alamdaar

thaame hai alam khoon mein dooba hai alamdaar


ab kaise sakina ko mai pahuncha'unga pani

bas baat yehi sochke rota hai alamdaar

thaame hai alam...


dunya meri andher hai ay bhai tere baad

tu hi meri aankhon ka ujala hai alamdaar

thaame hai alam...


kya hogaya sab tera badan teeron se chalni

kyu khoon mein bhara tera pharera hai alamdaar

thaame hai alam...


thi sheh ki sada koi usay de de sahara

be-dast hai rehwaar se girta hai alamdaar

thaame hai alam...


ek shor qayamat ka tha sab ahle haram mein

jab tera alam qaime mein aaya hai alamdaar

thaame hai alam...


dil thaam ke roti hi rahi raahe sitam mein

zainab ko bahot yaad tu aaya hai alamdaar

thaame hai alam...


jab jab bhi lage baali sakina ko tamache

har baar sakina ne pukara hai alamdaar

thaame hai alam...


zindan mein darr lagta hai kehti thi sakina

jab bhi ye sada aayi hai tadpa hai alamdaar

thaame hai alam...


izhaar wohi hashr ke din shadman hoga

jiske bhi labon par tera nauha hai alamdaar

thaame hai alam...