Kanz e Aza

tham kar apni kamar shey ne sada di abbas

A noha for Hazrat Abbas (a.s), recited by Anjumane Al Abbas(Hyd Ind). Lyrics in Roman Urdu.

tham kar apni kamar shey ne sada di abbas

aye alamdar-e-jari aye mere bhai abbas

1.haath katne pe bhi seene se tha mashikza laga

bole shey khoob wafa tum ne nibhai abbas


2.ab na akbar sa jawan la’al na humdum koi

tumsa saathi nahi yawar nahi ghazi abbas


3.nehr thi zere khadam tum rahi pyaase phir bhi

hashr tak teri wafa yaad rahegi abbas


4.jaan ko khuwaaish-e-baba nichawar karke

aabroo haq-e-niyabath ki bachayi abbas


5.kya kahun jaake sakina se kaha sarwar ne

kya qayamath ki ghadi mujh pe ye aayi abbas


6.laash pe hazrath-e-abbas ki shey kehte the

mujhko tadpayegi ab teri judai abbas


7.hyderi sher ho maskan bhi tarai payi

khoob sone ki jagah tumne hai paayi abbas


8.jab lahad nanhi si ek maine banai run mein

yaad us waqt mujhe teri hai aayi abbas


9.dekh kar sher ko aate huwe apni jaanib

chodh kar bhaage layeen pal mein tarai abbas


10.kis khadar zulm sahe tum ko bataun kya kya

aaj aada ne kamar todi hai bhai abbas


11.shah kehte the basad aaho fughan yeh sarwath

kaun ab lega khabar aye mere bhai abbas