seh ke har ranj o bala tune shikwa na kiya
tujh sa sabir na huwa
ya hussain ya hussain ya hussain
1. ran mein jab mare gaye zainab e muztar ke pisar
dekh kar lashon ko yeh kehti thi binte hyder
karti hoon shukr-e-khuda aur yeh hai meri dua
bhai bach jaye mera….
2.qatl abbas huwe toot gayi teri kamar aur tanhayi ka shidat se huwa dil pa asar
aayi ran se jo sada tune alaan kaha
aye imam-e-do sara….
3.ran se awaaz jab ayi hai ali akber ki
youn laga jaise tere dil pa lagi hai barchi
noor ankhon ka gaya soojta kuch bhi na tha
kaise laasha utha ….
4. teer asghar ke gale se jo nikala tune
haye kis dil se bhala dil ko sambhala tune
khoon chullu mein liya aur chehre pa mala
surkhuru deen huwa….
5.deen par waqt jab aya paye nusrath nikli
ran mein quran-e-shahadat ki har aayat nikli
tera ghar baar luta koi baqi na bacha
milgayi deen ko baqa
6. tune ashoor ko bachoun ka kiya hai matam
kaun batlayega jo tha tere dil ka aalam
aye shahinshah huda dekh kar haal tera
roti hain karbobala
7. na koi monis-o-yawar hai na koi hamdam
kufa-o-shaam ki rahoun mein hain be parda haram
koi baaqi na raha karne imdaad zara
kaun ayega bhala
8.qatl par tere basas naala-o-afghan ayi
khoon mein doobi huwi shaam-e-ghareeban ayi
maal-o-asbab luta tera ghar jalta raha
roti hai aal-e-aba
9. baad tere yahi zainab ne manazir dekhe
baazu rasi mein bandhe pusht pa dure bhi lage
har sitam dhaya gaya taaziyane bhi laga
chin gayi sar se rida
10. haye maqtal se teri laash uthayi na gayi
dil-e-sajjad se yeh baat bhulayi na gayi
sadma dil par wo huwa yaad kar kar ke sada
tujh ko rota hi raha
11. istarha itrat-e-athar ko lejaya gaya
sab ke baazu the bandhe aur sakina ka gala
jo sitam dhaya gaya kaise likhon mein bhala kyun falak gir na pada
12. qalb-e-zaianb ne is ehsaas ko nashtar jaana
haye jab umme habiba ne nahi pehchana
haal zainab ka yeh tha gham se dil baith gaya
dil se nikli yeh sada
13. aayi darbar mein jab aale rasool-e-dosara
saat sou kursi nasheeno sed tha darbar bhara
daaqela jab ke huwa kya sitam tooth gaya
ek qayamat thi bapa
14. tere lab haye mubarak pa thi zalim ki chadi
haye kis dil se bahan ne yeh aziyat dekhi
band ankoun ko kiya jab ke yeh zulm huwa
hil gayi arz-o-sama
15. be sabab khaye sakina ne tamache itne
phool se hogaye rukhsar bhi neele neele
tune aye shahe huda - noke naize se bhala
yeh bhi dekha hoga
16. dil mein armaa tha sakina ke jo ghar jaane ke
jab bhi zindan ke darwaze se taayer guzra
puchti thi yeh sada aye phuphi bolo zara
honge kis waqt reha
17. aye ali akber-e-man noor do chashman-e-pedar
ze ghamat posht pedar kham shodeh ayy noor nazar
sineyeh chaak tora gar be binte laillah
mee kunath aho buka
18. yek taraf ahle haram suwe degar dukhtar-e-toh
safre kufe-o-shaam ast-o-ro nayze sareto
ayy shaheed-e-karbala bikan wa tanha
ya abaab dillah
19. gule gulzar e harm ayy ali asghar pisaram
manchigone qabar-e-margetu qaime bee baram
tifleman halk tohra zalimoo-o- aada
pare kardanze jafa
20. nouha yeh jab bhi padhe jayega razvi-o-nazar
quld se denge duaein tumhe shah ki madar
khoob nouha yeh kaha zikr bekas ka kiya
roke pursa bhi diya