Saaqiye Kausar Tera Baba Hussain
Karbala me Tu Raha Pyaasa Hussain
Yaad rakhegi Tujhe Duniya Hussain
Tujh se Hai Naame Khuda Zinda Hussain
Ya Hussainam Ya Hussainam Ya Hussain
Tera Nana Rehmat ul Lil Aalamee'n
Tera Baba Hai Ameer ul Mominee'n
Aur PisarTera hai Zainul Abidee'n
Teri Maa Hai Fatima Zehra Hussain
Ya Hussainam Ya Hussainam Ya Hussain
Tu hai beshak Kaaba e Sabr 0 Riza
Teri chaukhat Sajdagahe Ambiya
Itna ooncha martaba Kisko mila
Poochhta hai Rab Tera Mansha Hussain
Ya Hussainam Ya Hussainam Ya Hussain
Tashnagi Teri fazaao'n me dhua'n
Thi musibat karwa'n dar karwa'n
Sabr se Tu ne diya har Imtiha'n
Deen par Ehsaan hai Tera Hussain
Ya Hussainam Ya Hussainam Ya Hussain
Karbala me kaisi ye Shaadi rachi
Laash hai masnad pa ab Naoshah ki
Chand lamhon ki Dulhan bewa huwi
Kaun dega ab Use pursa Hussain
Ya Hussainam Ya Hussainam Ya Hussain
Thi Ali Akbar ke seene me sina'n
Muztarib tha khaak par Kadiyal Jawa'n
Dashte ghurbat me hai kaisa imtiha'n
Kheenchte hain qalb se naiza Hussain
Ya Hussainam Ya Hussainam Ya Hussain
Toot jaati Hurmala ki ungliaa'n
Kholta gar Jhoole waala Mutthiaa'n
Ab rukhe Islam par hai jaawidaa'n
Ek Tabbasum Tere Asghar ka Hussain
Ya Hussainam Ya Hussainam Ya Hussain
Jaane Haidar Dilbare Ummul Banee'n
Jis ke qadmo me Samandar ki Jabee'n
Aaj bhi Aabe Rawa'n hai Bilyaqee'n
Hai Tere Abbas ka Qabza Hussain
Ya Hussainam Ya Hussainam Ya Hussain
Chaudhwee'n ka Chaand wo Ibne Hasan
Tukde tukde hogaya jis ka badan
Kaise ho Naoshah ka ghuslo kafan
Kar rahe hain Laash ko yekja Hussain
Ya Hussainam Ya Hussainam Ya Hussain
Laash par Sarwar ki Zainab ne Kaha
Ek Bahan par waqt kaisa aagaya
Dasht me hai bekafan LaashaTera
Sar pa Chaadar bhi nahi'n Bhayya Hussain
Ya Hussainam Ya Hussainam Ya Hussain
Al Atash ki thi fazaao'n me sada
Kal talak Abbas ka pehra bhi tha
Dekhte hi dekhte kya hogaya
Chha gaya har simt sannata Hussain
Ya Hussainam Ya Hussainam Ya Hussain
Be kajawa oont pyaasa kaarwaa'n
Berida hain Fatima ki Betiyaa'n
Shimr ke durre Sakina ki Fughaa'n
Tum kaha'n ho Aye Mere Baba Hussain
Ya Hussainam Ya Hussainam Ya Hussain
Hashr tak lehraa'ega Parcham Tera
Ham karenge umr bhar Maatam Tera
Kaiseham bhoolenge Moula Gham Tera
Qalbe momin hai Tera Raoza Hussain
Ya Hussainam Ya Hussainam Ya Hussain
Kha rahi hai taaziaane Shimr ke
Sabr karti hai Sakina kya kare
So'e kaise kaan zakhmi hogaye
Kis ko de awaaz Ye Dukhiya Hussain
Ya Hussainam Ya Hussainam Ya Hussain
Nashr gaahe Karbala Ashke Aza
Naara-e Takbeer Maatam ki sada
Ye lahu ye majlise'n Aaho Bukaa
Aarzuwe Fatima Zehra Hussain
Ya Hussainam Ya Hussainam Ya Hussain
Haosla dete hain Abbas e Ali
Milti hai har dam hame quwwat nayi
Zindagi Parwana e Shabbir ki
Hai Dua e Fatima Zehra Hussain
Ya Hussainam Ya Hussainam Ya Hussain
Dilbar e Zehra Shaheed e Karbala
Tu hame deta hai har pal haosla
HamTujhe dete hain mushkil me sada
Hai sahara ham ko bas Tera Hussain
Ya Hussainam Ya Hussainam Ya Hussain
Sar parasti ham ko hai Abbas ki
Ham ko deti hai Dua Binte Nabi
Hai yehi MaatamHamari zindagi
Ab ye hai har dam Tera Naoha Hussain
Ya Hussainam Ya Hussainam Ya Hussain
Naam jab bhi lete hain Abbas ka
Baazuo'n ko hoti hai taaqat ata
Sar pa Maatamdaar ke hoga sada
Parcham e Abbas ka Saaya Hussain
Ya Hussainam Ya Hussainam Ya Hussain
Aao mil jul ke Namaaz e Gham padhein
Ashk se roomaal e Zehra nam karein
Karbala waalon ka hamMaatam karein
Saans jab tak hai kaho bas Ya Hussain
Ya Hussainam Ya Hussainam Ya Hussain
Hai tamanna bas yehi Jaan-e Batool
Ho Ata Mujhko Tere Qadmo ki dhool
Kar Mere Maola Mera Naoha qubool
Aakhirat ka hai ye sarmaaya Hussain
Ya Hussainam Ya Hussainam Ya Hussain
Pesh hona hai Khuda ke rubaru
Bas Gham e Sheh me bahaao tum lahu
Ye Ibadat hi karegi surkh Ru
Kehte jaao Ya Hussainam Ya Hussain
Ya Hussainam Ya Hussainam Ya Hussain
Tujh se karta hai Rasheed ab Iltija
Ho Ziyarat ka sharaf hamko ata
Ham ko dikhlade Zameene Karbala
Waasta Tujh ko Sakina ka Hussain
Ya Hussainam Ya Hussainam Ya Hussain