Kanz e Aza

zainab mera bhai margaya

A noha for Hazrat Abbas (a.s), recited by Anjumane Al Abbas(Hyd Ind). Lyrics in Roman Urdu.

zainab mera bhai margaya

lakar alam abbas ka

qaimein jis dam rakh diya

ek shor matam ka utha

roro ke shey ne kaha

zainab mera bhai margaya (3 times)

1. woh quwate baazu mera

shane kata kar so gaya

kaisa sitam hum per huwa

raas aayi na karbobala


2. ahle haram hain nouhagar

mashko alam ko dekh kar

chup hain sakina qaak par

kistarha samjhaye pidar


3. veeraan hai sara jahan

mara gaya bhai jawaan

hain dhoop mein laasha waha

hum hain yaha mehve fuga


4. har saans hain nouha kuna

aankhon se aansoo hain rawa

sookhe labon par hain fuga

kis se karo main yeh baya


5. ankhon se tapkey hain laho

jine ki ab kya aarzoo

tegh-o-sina ke roo baroo

tanha hain hum pesh-e-adoo . . . .