abbas aajao zainab akeli hai
mehshar ghamon ka hai zehra ki jayee hai
1. wo jalte khaime jalti khanatein
wo sehmey bache pur dard raatein
tum ko pukare behna tumhari
aao chale aao - zainab akeli hai
2. roti hai dekho bekas sakina
tum ko pukare hai wo yatima
pani ko tarse teri bhatiji
pani pila jao - zainab akeli hai
3. aandhi chali hai zulm- o -jafa ki
main shaam ke bazaro se guzri
chini sitam ne chadar hamari
chadar udha jao - zainab akeli hai
4. wo qaid khana wo ghup andhera
bachi ne dekha na phir savera
bano bhi roti tum ko pukaree
zindan se chudwa'o zainab akeli hai
5. eza uthaya hai ranj sehkar
aankhon mein ansu hai khak sarpar
zainab ye dukhiya chehlum ko aayee
ab to chale aao - zainab akeli hai
6. sugra jo puche asghar kahan hai
qasim kahan hai akbar kahan hai
kya us say boloon aye mere bhayee
aakar batajao zainab akeli hai
7. dil hashmi ka nauha kuna hai
lab par raza ke aaho fughaan hai
sunkar ye nauha har aankh royee
abbas ajao - zainab akeli hai