pyasa kunba labe darya
rehgaye qaimon may tashna bache
ek sada hai sab ke labon par
haye abbas
le kar aao pani chacha
abbas abbas abbas abbas
halq sabhi ka sookh chuka hai
goya qareen ab waqt e qaza hai
sab ne faqat ye roke kaha hai
le kar aao pani chacha
abbas abbas...
darbadari aur aale payambar
be-watani aur aale payambar
tashnalabi aur aale payambar
le kar aao pani chacha
abbas abbas...
haye re asghar tashna dahani
ghair hui hai haalat uski
kuch lamha bas jaan hai baakhi
le kar aao pani chacha
abbas abbas...
le ke alam dada ka jao
nehr utha kar qaime may lao
zor e yadullah hi dikhlao
le kar aao pani chacha
abbas abbas...
dhoop sare baali hai ghazab ki
sab ka sahara aas ho sab ki
sunlo sada ab pyase lab ki
le kar aao pani chacha
abbas abbas...
pyaas se kya haalat hai dekho
kuch bhi nazar aata nahi hum ko
behre khuda ehsaan ye kar do
le kar aao pani chacha
abbas abbas...
leke chala ghazi mashkeeza
shaah ne nam aankhon se dekha
bachon bne rokar ye farmaya
le kar aao pani chacha
abbas abbas...
nehr se pani bhar ke wo palta
bhaagi hui faujon ne ghayra
padte rahe bache ye nauha
le kar aao pani chacha
abbas abbas...
sheh ne uthaya daste baradar
di ye sada atfaale payambar
ab na sada dena ye ro kar
le kar aao pani chacha
abbas abbas...
kaise kahoo bachon se hamare
mar gaye bhai nehr kanare
ab na bulaana kehke ye pyare
le kar aao pani chacha
abbas abbas...
ab to bahot duhswaar hai jeena
kaise kahe ammu ye hazeena
pyase hai bache pyasi sakina
le kar aao pani chacha
abbas abbas...
dayam o yazdan pyason ka nauha
sunke ye sheh ne roke pukara
kis se kahoge ab ye khudara
le kar aao pani chacha
abbas abbas...