shabbir ye kehte the ro ro ke sare maqtal
tum sogaye darya par aur hum ko kiya bekal
dharas thi sakina ko zinda hai chacha uska
le ayega dam bhar me rukh pher ke darya ka
bhaari dare qaibar se hai tere kate baazu
ab kaise uthaau mai quwwat tha meri bas tu
tum ko bhi ajal aayi
tuti hai kamar meri tum jab se gaye ran ko
jo noor tha ankho me baqi na raha dekho
jaati rahi beenai
darya pe kiya qabza lehra diya parcham ko
mashkiza bhara lekin pani na piya dekho
pyaso ki jo yaad aayi
aye shere jari tum to zainab ka sahara the
pyaso ke safine ka sahil the kanara the
mash'hoor thi saqqayi
akbar ki judaaai ne jo zaqm lagaya hai
wo ghaav bhi zainab ne ye sonch ke jhela tha
zinda hai mera bhai
marke bhi jo dunya me hai koun siwa tere
zinda hai wafa jis ki zehra ki duao se
ghazi ne sanad paayi