chala marne ali akbar behan zainab behan zainab
lagi barchi mere dil par behan zainab behan zainab
ise ehsaas hota gar ye sahibe pisar hota behan zainab behan zainab
jawaa'n beta juda hota to kya haale pidar hota behan zainab behan zainab
zara usko bata ja kar behan zainab behan zainab
guzara bachpana apna tumhari god me akbar behan zainab behan zainab
laga hai saal athhara to dekhogi ye tum kyukar behan zainab behan zainab
jab hoga qatl ka manzar behan zainab behan zainab
duaye do balaye lo kaho mujhse gale mil lo behan zainab behan zainab
milega phir kaha mouka kaho surat to dikhlaado behan zainab behan zainab
na dekha mai kabhi jee bhar behan zainab behan zainab
rachi na hath me mehandi na pehna byah ka sehra behan zainab behan zainab
ise dulha bane dekhu yahi armaan tha mera behan zainab behan zainab
wo jaata hai sue lashkar behan zainab behan zainab
ye pyasa hai ye tanha hai udhar lakho sitamgar hai behan zainab behan zainab
kisi ke hath me barchi kisi ke sath qanjar hai behan zainab behan zainab
akela hai mera dilbar behan zainab behan zainab
mere dilbar ke seene me jo phal barchi ka tutega behan zainab behan zainab
zameene garm par pyasa ragadta edhiya hoga behan zainab behan zainab
qayamat tootegi us par behan zainab behan zainab
meri behna mera beta meri ankho ka taara hai behan zainab behan zainab
jawaa'n beta hai ye meri zaeefi ka sahara hai behan zainab behan zainab
jiyu kaise juda hokar behan zainab behan zainab
suno hamsheer maqtal se nazar apni hata lena behan zainab behan zainab
jo khainchunga sina akbar ke seene se dua dena behan zainab behan zainab
na kaanpe hath aye qwahar behan zainab behan zainab
qate sughra jab ayega hamara haal kya hoga behan zainab behan zainab
wo jiski raah takti thi wo bhai mar chuka hoga behan zainab behan zainab
kaleje par sina kha kar behan zainab behan zainab
sakina ko zara dekho badi hairaan hai beti behan zainab behan zainab
chacha bhi margaya uska suno roro ke kya kehti behan zainab behan zainab
na jaa bhaiyya ali akbar behan zainab behan zainab
kamar bhi jhuk gayi meri mera abbas marne se behan zainab behan zainab
gayi binaai bhi meri jawaa'n bete ke marne se behan zainab behan zainab
girunga thokre kha ke behan zainab behan zainab