jahan me momino shere quda ka maatam hai
nabi ke dee'n ka muhafiz juda hua hamse
ye murtaza ka nahi mustafa ka maatam hai
ye sub'ha sub'he qayaamat se kam nahi logo
sar apna peeto ke mushkil kusha ka maatam hai
jise namaz me maara hai ibne muljim ne
quda ke ghar me waliye quda ka maatam hai
hui hai qoon se tar jaanamaaz moula ki
lagaalo zarb saro par ali ka maatam hai
lo aaj masjide koofa bhi hogayi veeraa'n
musalla qaali hai qibla numa ka maatam hai
najaz ki simt janaaze ko le chale hasnain
udaas aankhe hai aine quda ka maatam hai