milke sab kare maatam milke gham manaana hai
fatima ko mehshar me jaake mu dikhaana hai
maa se apne jhoole me keh rahe hai ye asghar
teer khaake maida'n me deene haq bachaana hai
shukr karke qaliq ka keh rahe hai ye sarwar
lashae ali akbar mujh ko ab uthaana hai
fouj se kahe abbas ek waar kaafi hai phir mujhe sakina ki tashnagi bujhana hai
qatl ho gaye abbas berida hui zainab
shimr ke sakina ko ab tamaache khaana hai
roke kehti thi zainab natawaan abid se
ek choti si mayyat tumko hi uthaana hai
dil me hai ziarat ki sab ko qaaishe'n shabbir
padte padte ye nouha karbala ko jaana hai
hyderi jawaano ki aarzu hai bas itni
karte karte ye matam is jaha'n se jaana hai
aye farishto shaida se hoshiyaar rehna tum
zikre sarware aalam humko bhi sunaana hai