shabbir ki turbat pe ye zainab ka baya'n tha ghar jaake karu kya
yaad aate hai bichde hue phat'ta hai kaleja, ghar jaake karu kya
qaimo me lagi aag qayamat ka samaa tha, har simt dhua tha
asbaab jo tha loot ke sab le gaye aada, ghar jaake karu kya
hamraah mere aaye hai ya'n syede sajjad ham hogaye barbaad
ab shaam ke zindan me soti hai sakina ghar jaake karu kya
abbas na the saath musibat ka safar tha, dushman tha zamana
har gaam qayamat sahi wada hua poora, ghar jaake karu kya
reh jaau mai is dashte museebat me ye bolo ya jaau watan ko
batlaao ke kya hukm hai is waqt tumhaara, ghar jaake karu kya
jaise bhi ho maatam mai tumhara hi karungi, marqad pe rahungi
ham be saro saamaan hai chehlum hai tumhara, ghar jaake karu kya
bache nahi ghar hogaya veeraan hamara, hai koun sahaara
batlaao ke zainab rahe kis ke lie zinda, ghar jaake karu kya
baazu pa nisha'n rassi ke hai jaau me kaise, dikhlaau to kaise
mil jaaye'n tere paaenti ek qabr ka gosha, ghar jaake karu kya
waali mera dekhega nishaa'n ranjo mehen ke, ye neel rasan ke
kis tarah se dekhoongi mai bekas ka tadapna, ghar jaake karu kya