Kanz e Aza

bhayya tere chehlum ke lie aayi hai zainab

A noha for Arbayeen, recited by Anjuman e Hyderia. Lyrics in Roman Urdu.

bhayya tere chehlum ke lie aayi hai zainab

dukh paayi hai dukh paayi hai dukh paayi hai zainab

zinda'n me lahad baali sakina ki banaakar

bhai ki amaanat ko tahe qaak chupaakar


saath apne lute qaafele ko laai hai zainab

maajaye ke marqad pe ye dukhya ka tha nouha

aayi hai behen milne ko utho mere bhayya

bin tere har ek gaam pe dukh paai hai zainab


bhayya tumhi batlaao watan jaake karu kya

soughra tumhe puchegi to bolo mai kahu kya

jab bhi ye qayaal aata hai ghabraai hai zainab

bemaqnao chaadar gayi baazaaro me bhayya


darbare yazeedi me gayi duqtare zahra

tha hukm jo tera wo baja laai hai zainab

har toote hue dil ko sahara bhi diya hai

har dard me kunbe ko dilaasa bhi diya hai


har haal me har bibi ko samjhaai hai zainab

ranjo alamo yaas hai abbas nahi hai

juz abide beemar koi paas nahi hai

bas ek amaanat ye bacha laai hai zainab


faryaad kuna bhai ki turbat pe behen hai

ab qaahare shabbir ka nouha ye *hassan* hai

har gaam pe tanhaai ka gham khaai hai zainab