CHEHLUM KAREGI ZAINAB ZEHRA KE BHARE GHAR KA
Zindaa’n se reha hokar jis waqt haram pohonche
Qabro pa gaye saare faryad-o-fughaa’n karte
Thi qaak padhi sar par utre the sabhi chehre
Karbal ki fizaao’n mein Zainab ka tha ye nauha
Parde ka muhafiz tha Abbas mera bhayya
Dharaas thi Sakina ko jab tak tha chacha uska
Shano ko katakar jo sota hai lab-e-dariya
Wo sogaya jis din se hum hogaye beparda
Shabbir ki marqad par Bano ne kaha rokar
Batlao mere waali jaau’n mai watan kyunkar
Zindaa’n mein Sakina hai karbal mein Ali Asgher
Kya usko batau’n mein puche jo tumhein Sughra
Waade ko nibhakar mai aayi hoon mere bhaye
Balwe mein thi bechadar bhayya teri maajayi
Zainab ne uthaaye hai har gaam pe ruswaaye
Uthkar to suno bhayya ye dard mere dil ka
Zindaa’n mein Sakina ko dafnake mai aayi hoon
Tujh se hoon mai sharminda bachchi ko na layi hoon
Ek qalb pe mai kitne dukh dard uthayi hoon
Is haal mein Zainab ka dushwaar hai ab jeena
Qasim ki lahad par thi Farwa ki fughaa’n paiham
Maa aagayi aye beta karne ko tera maatam
Kis tarah jiyungi ab mai dil pa liye ye gham
Reh reh ke mujhe har pal gham tera rulayega
Darbar mein harsu tha mehshar ka samaa’n barpa
Tha pesh-e-yazeed us dam kunba Shah-e-bekas ka
Tha tauq-o-salasal mein Beemar-e-Hazee’n jagda
Sar sharm se neeche the aur jism mein tha larza
Marqad se uthi Zainab ye keh ke mere bhayya
Jaati hoon khuda hafiz lo aakhri ab mujra
Mehshar tha Sohail us dam saidaniyon me barpa
Karte the buka saare padhte huwe ye nauha