DETI THI ZEHRA SADA – AYE MERE BEKAS HUSSAIN
ZIBHA TU PYASA HUWA – AYE MERE BEKAS HUSSAIN
Lutgaya sab ghar tera, Basgayi karbobala
Jalgaye qaime sabhi, Chhingayi sar se rida
Zulm ye kaisa huwa, Aye mere bekas Hussain
Qasim-o-Akber nahi, Yawar-o-Naser nahi
Aun-o-Mohammad nahi, Bezubaa’n Asgher nahi
Margaye sab aqroba, Aye mere bekas Hussain
Behre madad aye khuda, Ab nahi koi raha
Saqtiyaa’n har gaam hai, Haal hai gham se bura
Yaara nahi zabt ka, Aye mere bekas Hussain
Ghere hain ranj-o-mehan, Baazu mein baandhi rasan
Banke tamaashai hain, Raah mein sab mard-o-zan
Aati hai sabko haya, Aye mere bekas Hussain
Jayenge ab darbadar, Zere samaa’n nange sar
Daagh bahattar(72) ke hain, phhat-ta hai qalb-o-jigar
Rote hain aal-e-aba, Aye mere bekas Hussain
Zulm ka baazar hai, Abid-e-beemar hai
Shaam ke darbar mein, Marhala dushwaar hai
Sabr ho kaise bhala, Aye mere bekas Hussain
Howegi ye daastaa’n, kaise Sohail ab bayaa’n
Sunke gham-e-karbala, Sabke hai aansoo rawaa’n
Taari hai sab par buka, Aye mere bekas Hussain