HAI HUSSAIN KA PARCHAM JISKO HUM SAMBHALE HAIN
HUM HUSSAIN WALE HAIN, HUM HUSSAIN WALE HAIN
Gham hamara virsa hai hum ghamo’n ke paale hain
Maut jinse larzaa’n hai hum wahi jiyale hain
Chand tha jo Zehra ka hum usi ke haale hain
Dum hai jitna baatil mein apne dekhe bhaale hain
Hum Hussain ke gham ko daimi samajhte hain
Jaan dena is gham mein zindagi samajhte hain
Raah-e-Haq se hat jana buzdili samajhte hain
Hum Hussain ke gham ko bandagi samajhte hain
Deen par Mohammed ke aanch aa nahi sakti
Shamme haq hawa koi ab bujha nahi sakti
Maut bhi jiyalo’n ko dagmaga nahi sakti
Jaan jaye to jaye aan jaa nahi sakti
Hum Hussain ke gham ko jawedaa’n banayenge
Damane yazeedi ki dhajjiyaa’n udayenge
Kufr ke andhero mein shamme haq jalayenge
Hum jaha’n bhi chahenge Karbala banayenge
Har yazeed ko apni raah se hatadenge
Hum ghuroore batil ka khaak mein mila denge
Maatme Shah-e-Deen mein apna khoo’n baha denge
Ya Hussain keh keh kar aasmaa’n hila denge
Ab Hussain ka gham hi zeest ka sahara hai
Ye zamee’n hamari hai ye jahaa’n hamara hai
Hum ne khoone dil dekar ye chaman sanwara hai
Hum Hussain walo ka Hashmi ye naara hai