HUWE SHAHEED IMAM-E-RAZA KARO MATAM
SAR APNA PEET KE AHLE AZA KARO MATAM
Hai beqaar ghareebul watan imam mera
Hata ke farshe zameen par tadapte hain moula
The jiske ke peeshe nazar waqayat-e-karbobala
Usi ghareeb pa kar ke buka karo matam
Shaheed zehre dagha se huwe Imam-e-Raza
Tha saare Ahl-e-Khurasaa’n mein tahelka barpa
Har ek chahane wala ye de raha hai sada
Hai do jahan mein gham ki faza karo matam
Jo khake aaye hain angoor-e-zehr dar Raza
Tadap rahe hain bahot hoke beqaar Raza
Lahu ugalte the reh reh ke bar bar Raza
Imam hota hai hum se juda karo matam
Chali thi bhaye se milne jo gham zada khawhar
Siyah saara khurasaan juhin aaya nazar
Sambhal na payein huwe ghash suni jo gham ki khabar
Ye gham hai misle gham-e-karbala karo matam
Mere imam hamhein ho sharaf ziyarat ka
De bar bar hamhein mouqa is ibadat ka
Jo shehare tous mein pohunche ho din shahadat ka
Baha ke ashk ye maango dua karo matam
Pasina mout ka mathe pe aagaya jisdam
Pisar ko deke sada peet te the sar paiham
Pidar ke paas Taqi the be deda-e-purnam
Sohail aaye Raza ko qaza karo matam