JAAN-E-FATIMA ZAINAB QALB-E-MURTUZA ZAINAB
Bhai aur behen ne yuin haq adaa kiya milkar
Phirse is zamane ko ye batadiya milkar
Deen-e-Mustafa ooncha hashr tak kiya milkar
Haye is mahine mein kargayi qaza Zainab
Bekajawa oonto par darbadar phiri Zainab
Karbala ki raho’n mein nange sar rahi Zainab
Haaye aisi zillath se kyun na mar gayi Zainab
Haye is mahine mein kargayi qaza Zainab
Saath har qadam tune bhai ka diya Zainab
Tune deen ki khaatir ghar luta diya Zainab
Sar ghuroor-e-baatil ka phir jhukadiya Zainab
Haye is mahine mein kargayi qaza Zainab
Phirse sham-o-koofa ka waqiya nazar aaya
Bhai ka wo latka sar shajr par nazar aaya
Har taraf bapa mehshar hashr ka nazar aaya
Haye is mahine mein kargayi qaza Zainab
Zulm jo huwe tumpar kya bayaa’n kare Agha
Belche se zalim ne waar ek kiya aisa
Bekasi-o-ghurbat mein maut ka payaam aaya
Haye is mahine mein kargayi qaza Zainab