KAISE HAI YE KHAMOSHI ZINDAAN MEIN SAKINA
Baad-e-pidar wo tera reh reh ke yaad karna
Dam ghut raha hai amma mujh se wo tera kehna
Bhulagi kaise madar tum ne sahi jo eza
Do kuch jawab beta qurban tujhpe madar
Kis tarha ki ye mujh par uftaad pard gaye hai
Asghar gaya hai jabse godi ujard gaye hai
Aajaye mout mujh ko ab khak hai ye jeena
Do kuch jawab beta qurban tujhpe madar
Dadi se apni jakar rudaad-e-gham sunana
Sujhe huwe tum apne ruqsaar bhi dikhana
Rowegi dekh kar wo tan par patha ye kurta
Do kuch jawab beta qurban tujhpe madar
Tere hi dam mein bibi zinda thi teri madar
Kyun ho gaye khafa tum mujh se aye meri dilbar
Be lutf zindagi ke the tum hi ek sahara
Do kuch jawab beta qurban tujhpe madar
Ankhon mein cha gaye hai ab har taraf udasi
Girya kuna hai saare gham mein tumhare bibi
Saidaniyon ko beti do aake ab dilsasa
Do kuch jawab beta qurban tujhpe madar
Is kam sini mein mujh ko ye kaise maut aaye
Ek pal bhi chain se tum sone kabhi na paye
Jis roz se chuta hai baba ka tere seena
Do kuch jawab beta qurban tujhpe madar
Zindaa’n mein aye Sohail ek mehshar bapa huwa tha
Baithi huwe lahad par maa kar rahi thi girya
Us dam tha bas yehi ek madar ke lab pe nauha
Do kuch jawab beta qurban tujhpe madar