KARBOBALA MEIN ZAIBAN-E-MUZTAR NE DI SADA
MAARA GAYA HAI NAHER PE SAQQA-E-KARBALA
Ek dopaher mein lut gaya gulzare panjetan
Bikhre huwe hain lashe shahedon ke bekafan
Sar hain kahin pe aur pade hai kahin badan
Hai dard-o-gham ki dasht me chaye huwe ghata
Tum jo nahi to bali Sakina hai beqarar
Soojhe huwe hain gaal to kurta hai taar taar
Kehti hai aa bhi jao chacha roke baar baar
Shumr-e-layee’n ki uspa har ek gaam hai jafa
Tum the to Ahl-e-Baite Nabi ko tha itmenan
Hai besahara aaj Mohammed ka khandaan
Zalim hamare sabr ka lete hai imtehaan
Lut-te hain ab qayam chhini jati hai rida
Qaidi banayi jati hai Aulaad-e-Mustafa
Jakda huwa hai tauq mein beemar-e-Karbala
Ab karwan-e-Haq ka nahi koi aasraa
Uttho madad ko aao Alamdar-e-Bawafa
Saidaniyo ke lab pa hai paiham yahi fughaa’n
Is bekasi mein jayen to jayenge hum kahaa’n
Shaane kataye sota hai hum sab ka pasbaa’n
Tanhaeyaa’n hai zulm-o-sitam ki hai inteha
Beemar-e-Karbala pe qayamat ki hai ghadi
Gardan mein tauq pau’n mein zanjeer aahani
Wo hathkadi wo aable shiddat wo dhoop ki
Tye hoga kaise dard-o-musibat ka raasta
Kehti hai roke bali Sakina mere chacha
Aakhir sabab ye aane mein takheer ka hai kya
Aap aayenge to dil ko mere chain aayega
Hargiz karoongi ab na mai pani ki ilteja
Mashk-o-Alam to laye Shahensha-e-Karbala
Lasha jari ka sahil-e-dariya pa reh gaya
Qaimo mein Aye Sohail Qayamat huwe bapa
Kehti thi jab Sakina kahan hai mera chacha