KHANJAR KE TALE SABTE PAYAMBER KA GALA HAI
Dil chak hai sadmon se badan zaqmon se chalni
Matam mein baradar ki kamar tooti hai jiski
Bete ki judaye se jigar jiska hai zaqmi
Ab uski hi gardan pe rawan tegh-e-jafa hai
Bekas pe musafer pe falak zulm hai dhata
Naiza koi pyase par koi teer chalata
Afsoos layenon mein kisi ne bhi na socha
Mazloom ye aaghoshe Mohammed ka pala hai
Har simt biyaban mein qayamat ka hai manzar
Mazloom akela hai na beta na baradar
De kis ko sada behre madad Zainab-e-Muztar
Juz Abid-e-Muztar koi baqi na bacha hai
Jalti huwe reti tan zaqmi hai hatade
Lillah mere baba ko pani to pilade
Hathon se layee’n ke koi khanjar to chudade
Maqtal mein Sakina ki ye faryaad-o-buka hai
Faryaad-o-fughan Yawar edhar karti hai Zehra
Darya pe tadapta hai udhar Ghazi ka lasha Aur shimr se kehti hai yehi Zainab-e-Dukhya
Majaya mera pyasa hai be jurm-o-jafa hai