Kanz e Aza

Khoon Mein Dooba

A noha for Imam Hussain (a.s), written by Anwar Raebarelwi (2026). Lyrics in Roman Urdu.

khoon mein dooba jalti zameen par

lashaa e sarwar pada hua hai


doobta suraj charkhe bareen par

jaam lahoo ka bana hua hai


farqe shahe deen kat gaya ran mein

kaisa hua andher ye ban mein

mehre imamat aaya gehan mein

hashr kahan ab ruka hua hai

khoon mein dooba...


zainab e muztar ka tha ye nauha

kaisa ye din kismat ne dikhaya

aah jo kal tak bhara hua tha

aaj wohi ghar luta hua hai

khoon mein dooba...


roye na kyun kar bali sakina

khaye tamache chin gaye gohar

sooje huwe rukhsaron pe uske

khoon abhi tak jama hua hai

khoon mein dooba...


koi nahi ye shimr se kehta

bali sakina ko na de eeza

uth gaya sar se baap ka saaya

uska bahot dil dukha hua hai

khoon mein dooba...


dhal gaya suraj shamma jali

nanha mera asghar kahan gaya re

bano pukari kok jali

nanha mera asghar kahan gaya re


raat andheri sunsan ban

dhoondun kahan tujhe ay gulbadan

ro ro pukare maa dil jali

nanha mera asghar kahan gaya re


ran ko gaya tha jo shesh maah

teer galay par usne bhi khaaya

ek dukhiyari maa ka kaleja

naawak se gham se chida hua hai

khoon mein dooba...


rehm kisi ko us par na aaya

cheen ke bistar le gaye aada

haye mera bemaar bhatija

ghash mein zameen par pada hua hai

khoon mein dooba...


yazeediyat ko jad se ukhada

deen e nabi ko isne bachaya

ta qayamat sultan e shaheedan

zibha ho kar bhi fatha hua hai

khoon mein dooba...