Kanz e Aza

Kis Jurm Par Maara

A noha for Imam Hussain (a.s), written by Shahid Jafer. Lyrics in Roman Urdu.

bee aayi-ye zambin khutilat

kis jurm par maara usay ay zabt gaahe nainawa


tauheed bhi khatre may thi islam bhi khatre may tha

quran bhi majboor tha jab deen hi khatre may tha

shaahi ke aage dat gaya kyunke imame waqt tha

kis jurm par maara...


yasrab se taaba maariya yun to bahot afraad thay

lekin shabe ashoor lashkar may bahattar reh gaye

bayyat bahana ban gayi dar asl sar darkaar tha

kis jurm par maara...


aayi sehar ashoor ki teeron se hamla ho gaya

aur ghalbaye awwal may bas thoda sa lashkar hi bacha

as'haab kuch baakhi bache aur kuch aaizza aqraba

kis jurm par maara...


sheh ne taqabbal kehke phir akbar ko dekha yaas se

akbar ka chehra khil utha us izn ke ehsaas se

maidan may jaa kar yun lada seene may naiza gad gaya

kis jurm par maara...


pani pilaane laaye thay aagosh may lekar jise

ran may bujhayi tashnagi zaalim ne aab e teer se

phir uska khoon chullu may lekar sheh ne chehre par mala

kis jurm par maara...


lashkar tha jiske haath may ahle haram ki aas tha

shabbir ki dhaaras akela sirf ek abbas tha

be-dast hokar nehr par be-aas hokar so gaya

kis jurm par maara...


sarwar ke nafse mutmain itmaame hujjat ho chuki

mard'on may bas abid bache sab ki shahadat ho chuki

reh jaye naam allah ka kehkar ada sajda kiya

kis jurm par maara...


shahid zameen larza rahi khoon aasmano se baha

moo par saja kar sheh ka khoon rahwaar qaime ko chala

sar se ridayein chin rahi thi hashr tha har soo bapa

kis jurm par maara...