Kanz e Aza

Matti Ko Bhi Shifa

A noha written by Shahid Jafer. Lyrics in Roman Urdu.

matti ko bhi shifa ka wasila bana diya

sarwar ne karbala ko masiha bana diya


sar ta qadm kuch aise sawara hussain ne

akbar ko mustafa ka sarapa bana diya

matti ko bhi shifa...


aakar uroos e taygh ne qasim ke haath mein

maidan e kaarzaar ko dulha bana diya

matti ko bhi shifa...


abbas ne hunar se tadabbur se sabr se

darya ko pyaas pyaas ko darya bana diya

matti ko bhi shifa...


shahid hamein khuda ne aza e hussain par

insaniyat ki aankh ka taara bana diya

matti ko bhi shifa...


bibi ko har qadam pe hai izzat ka apni taab

chaadar nahi to baalo se parda bana diya

matti ko bhi shifa...