maujon mein talatum hai aur shor hai mehshar ka
andaza hai darya ko abbas ke tevyar ka
dushman ke liye tujhme jo ghaiz o ghazab dekha
kyunkar na jalaal aaye waaris hai tu hyder ka
andaza hai darya ko abbas ke tevyar ka
maujon mein talatum hai…
hathyaar mein ghazi ke bas paas hai ek naiza
har fard hai kyun larza phir shaam ke lashkar ka
andaza hai darya ko abbas ke tevyar ka
maujon mein talatum hai…
mashkeeze mein darya ko ab ammu le aayenge
reh jaye bharam baakhi ye dukhtare sarwar ka
andaza hai darya ko abbas ke tevyar ka
maujon mein talatum hai…
kis yaas se ay zainab tu bhai ko takti hai
tanha wo muhafiz ho jaise teri chadar ka
andaza hai darya ko abbas ke tevyar ka
maujon mein talatum hai…
rehwaar se maqtal mein be-dast gira kaise
kis tarha tasavvur ho aise kisi manzar ka
andaza hai darya ko abbas ke tevyar ka
maujon mein talatum hai…
shahid mere ghar hogi ta-hashr azadari
ghar par alam mere abbas-e-dilawar ka
andaza hai darya ko abbas ke tevyar ka
maujon mein talatum hai…